Oh! Baroda

HAMARA BARODA

Woh room zoom ki pani puri, Woh ellora park ki chaat,
Woh Dairy Den ki ice cream, Waah! usme thi kuch baat.

Woh Ambassodar ki mithai, Woh South Corner ka dosa,
Woh FNF ki pav bhaji aur Payal ka samosa.

Woh rikshaw ka ‘suffer’, Woh Sur sagar ki hawa,
Woh dutch roses ke kante aur Kamatibaug ka sama.

Woh december ki zara si sardi, Woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chut-te they paseeney.

Woh holi ki masti, Woh navratri ka garba,
Woh diwali ke patakhe aur ganpati ka shor o sharaba.

Woh R.C. Dutt Road ka mahol, Woh Fatehgunj ki leheren,
Woh doobte suraj ka nazara, Waah! uska kya kehena.

Woh Muffins ke puff, Woh Khokha ki chai,
Woh Jagdish ke bhakarwadi, Woh mahadev ka “Sev Usal”.
Woh Raju aur yusuf ki Omlet,

Woh Rajashree ka samosa aur National Plaza mein shopping,
Woh Sayajigung(homescience)ka nazara aur Concorde building.

Woh Alpana cinema ke queue, Woh black ki pink ticket,
Woh Polo club ka maidan, jahan bachche practice karte hain cricket.

Itni cheezen kehene ke baad, aur kitni karoon mein abaad,
Yeh shehar hain mera apna, jiska naam hai
B A R O D A !!

  1. hitchwriter
    April 5, 2009 at 4:27 pm

    hey ! this post got linked to my post…

    I almost posted a similar thing !!

    unbelievable !! Baroda ki jai ho !!

  1. No trackbacks yet.

Leave a comment